Hasbi Rabbi Jallallah Mafi Qalbi Ghair ullah Noor e Muhammad Sallallah La ilaha I’ll Allah حٓسٔبِیْ رَبٌِی جَلٌَ الٌَلہ مَا فِی قَلٌَبِی غَیٌرُاللٌَہ نُورِ مُحَمَّد صَلَّی اللّٰہ لَا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہ
Tere sadqe main Aaqa Saare jahaa(n) ko Deen Mila Be- deeno(n) ne kalma parha La ilaha I’ll Allah Simt e Nabi Bu-jehal gaya Aaqa se usne ye kaha Gar ho Nabi batlaao Zara Mari muthi main hai Kya
Aaqa ka farman hua Aur Fazl e Rehman hua Muthi se Kankar bola La ilaha illallah
Dunya kea insan sabhi Shirk o bid’at kertay thay Rab ke thay banday phir Bhi Bout ki ibadat kertay thay
But khaney sb tharraye Mere Nabi hain jab Aaye Kehne lagi makhlooq e Khuda La ilaha illallah
Apni behen se bole Umar Ye to Bata Kya Karti thi Mere aane Sr pehlkya chupke chupke parhti thi
Behan ne jab Quran parha Sun ke kalaam e Paak e Khuda Dil ye Umar ka bol utha La ilaha illallah
Wo Jo Bilal e Habshi hain Sarwar e Deen(n) ka payara hai Dunya kay har aashiq ki Aankho(n) ka wo taara hai
Zulm hue Kitne un par Seenay pay rakha pathar Phir Bhi zubaa(n)pay jaari tha La illaha illallah
Mere Nabi ke ghulamoo(n) ka Rutba bara hai shaan bari Chaahe Ghous e Azam ho(n) Ya ho(n)Data Hajveri
Yaad nahi tumhain wo manzar Khuwaja ne jab khud chalkar Nawwe(90) laakh ko parhwaya La ilaha illallah
Mere mola mere Khuda Tu hi khaliq e arz o samaa Tu hi Malik e Roz e jazaa Main hoo(n)saraapa jurm o khata
Phr Bhi tujh se hai ye Dua Waqt e naz’a jab Aaye Mera Lab pe bas ho aik sadaa La ilaha illallah